Mein jitni martaba
toot kar bikhri hoon, utni hee martaba khud ko samaita hai. Toot kar bikharna
asaan nahi hota. Apni zaat ki tooti hui kirchion ko samait’tay samiat’tay jitney zakham
lagtay hai, un zakhmoon kay dard ko sehna padta hai. Mujhe in zakhmon ki itni
parwah nahi hoti jitni is baat aur iss yaqeen ki hoti hai jo kisi berehm saaye kay jese mere hoslon par pehra daalay hue hai kay mujhe phir tootna hai aur phir
bikharna hai. Mujhe dar lagta hai kisi din agar mein toot gae aur apnay aap ko
samait na saki, us din kia hoga?
میں جتنی مرتبہ ٹوٹ کر بکھری ہوں اتنی ہی مرتبہ خود کو سمیٹا ہے- ٹوٹ کر بکھرنا آسان نہیں ہوتا- اپنی ذات کی ٹوٹی ہوئی کرچیوں کو سمیٹتے سمیٹتے جتنے زخم لگتے ہیں ان زخموں کے درد کو سہنا پڑتا ہے- مجھے ان زخموں کی اتنی پرواہ نہیں ہوتی جتنی اس بات اوراس یقین کی ہوتی ہے جو کسی بےرحم ساےکہ جیسے میرے حوصلوں پر پہرا ڈالے ہوئے ہےکہ مجھے پھر ٹوٹنا ہے اور پھر بکھرنا ہے -. مجھے ڈر لگتا ہے کسی دن اگر میں ٹوٹ گی اور اپنے آپ کو سمیٹ نہ سکی اس دن کیا ہوگا؟
No comments:
Post a Comment